Aflaak Se Aata Hay,Allama Iqbal Urdu Poetry

Aflaak Se Aata Hay,Allama Iqbal Urdu Poetry


Aflaak Se Aata Hay,Allama Iqbal Urdu Poetry

Aflaak Se Aata Hay Naloon Ka Jawab Akhir
Kertay Hain Khitab Akhir Uthay Hain Hijab Akhir
Ahwal Mohabbat Main Kuch Ferq Nai Aisa
Sooz o Tab o Taab Awal Sooz o Tab Taab Akhir
Main Tujh Ko Btata Hoon Taqdeer Umam Kea Hay
Shamsheer o Sanaan Awal Taous o Rubab Akhir
Maekhana Yourap K Dastoor Niralay Hain
Latay Hain Serwer Awal Detay Hain Sharab Akhir
Kea Dabdba Nadir Kea Shokat Taimoori
Ho Jatay Hain Sab Dafter Gerq Mae Naab Akhir
Khalot Ki Gheri Guzri Jalwoot Ki Ghari Aae
Chatnay Ko Hay Bijli Se Aaghoos Sahaab Akhir
Tha Zabt Bohat Mushkil Is Sail Maani Ka
Keh Dalay Qalander Ne Israr Kitaab Akhir

Note: Dear Friends if you have good collection of poetry then send us this collection in comments.
Dear Friends if you want to get Logo or any other design then contact us.Please comment on my post.